रोज़मर्रा | Rozmarra
Shabdo ke chayan Mein bhavnao ko kho raha hoon
Zinda rahne ki chah mein Jeena bhul raha hoon
Daudta raha hoon umr bhar aarzuo ki talash mei
Trademill pe kat gaya safar dekh raha hoon
Paripakvata ke aalingan mei bachpan gawa diya jab
Dupahar ki garmi mei ab subah ki kirane dhoondh raha hoon
Kab tha mere pass, ke kya khone ki baat kahu?
Memano ki bheed mei apne wazood ko dhoondh raha hoon
Armano ke pichhe bhagana to durr raha
Prarambh ki siti kab baji soch raha hoon
Do saans ke beech mei zara jee leta hoon
Zindagi meri khudse mei udhar le leta hoon
Krunal Sagan
July 14, 2020