Ke Yoon karo
Ek khanjar Leke apne sine mein ghadh do
Insaniyat ke soye hue bhhoot ko
Tum berahmi se wahi pe mar do
Jis beharahmi se mar rahe hein mazddor sab
Jis behrahmi se tumne jhalaye ghairmazahabi sab
Ushi behrahmi ko Jagake aaj nek koi kaam do
Insan hone ka dhong aaj hi khatam kar do
Chahe mare woh bhukh se ya mare woh rail se
Chikh unki par sun na paye usika bas khyal rahe
Shahenhah Ka lazim hein Apni aan ko hi sambhalna
Lasho ko uske taaj pe Hira bana ke sajana
Farishte bhi tadap ke marre gaye dekt aan
Tera bejhijhak iss haivaniyat ko sarahana
Ke ab yoon karo
Ek khanjar Leke apne sine mein ghadh do
Insaniyat ke soye hue bhhoot ko
Tum berahmi se wahi pe mar do
Krunal Sagan
May 11, 2020